Quraan kaese nazil hua
Ham sab ko pata hai ke Quraan musalmanon ka pavitr granth hai lekin bahot se logo ko ye pata nahi ki Quraan kaese utra ya nazil hua is baat par bahut se logo ki kuchh confution hai use door karne ke leye aaj aap ko bahut hi aasan bhasha me bataunga ki Quraan kese utra ya nazil hua.
Pahele Mae kuchh sawaal clear kardon Jo is Post se related hai ۔
Quraan me kul 30 paare hai aur 114 suraten hai.
Quraan me bismillah ko chhod kar 6236 ayaten hai aur 113 bismillah likhi hui kyu ki bismillah har Surah ke pahle likhi hui hai aur har Surah ke pahle padhi jaati hai.
Quraan 3 stage me complete hua hai ise achhi tarah se Samjhane ke leye mae ise 3 stages separately samjhauga.
1) muhammad (SAW) par Quraan kaese utra.
2) Quraan ko kitabi shakl di gai aur kis leye di gai
3) Quraan logo tak kaese pahoncha.
1) Hazrat muhammad (SAW) Allah ke paegambar hai. aap (SAW) Daur me jab koi mushkil aati ya koi Jung hone hoti tab Allah apne paigambar aur bando ko sahi raasta dikhane ke leye nirdesh (guidelines) dete the
In nirdeshon ko ayat kahete hai.
• Jab Allah Ko koi ayat bhejni hoti to wo Hazrat jibrail(as) jo Allah ke farishtey hai in ko muhammad (SAW) ke paas bhejte aur hazarat jibrail(AS) Hazrat muhammad (SAW) ko woh ayat sunate aur Hazrat muhammad (SAW) usi samay us ko yaad kar lete the aur muhammad(SAW) apne sahaba ko ye ayat likhne ke leye kahe aur sahaba use likh kar fir se Mohammad (SAW) ko sunate the aur us ayat ko mahefooz (surakshit) kar diya jata tha.
Us time me arab me kagaz nahi tha is leye jab bhi koi ayat utarti us wakt jo bhi cheez hoti us par likh lete jaese ke khajoor ke Patton par. Pattharon par. Dewaaro par aur jo aasani se milti usi par likh lete .isi tarah se Hazrat muhammad (SAW) par ayat utarti rahi aur Hazrat muhammad (SAW) ke intekaal(dehaant) ke 9din pahele ayat utarna band ho gai aur Quraan poori tarah se dunya me pahonch Chuka ttha .
Ab Quraan pura likha ja chuka tha lekin wo tarteeb se kitab ki shakal book ki shakal me nahi tha kyunki Quraan sahaba ko zabani aur tarteeb ke saath yaad tha is liye unhe kabhi Quraan ko kitabi(as binded book shape) shakal deni ki zarurat nahi padi .
2) ab muhammad (SAW)ki wafaat ho chuki thi aur nabi Kareem(SAW) ki wafaat ke 1se dedh saal baad ek Jung hui jise junge yamama kahete hai. ye Jung jhoothi nabuwat karne wale musaelima kazzab ke manne walon se hoi thi jis me 70 sahaba (jinhe Quraan tarteeb se yaad tha )shaheed ho gae .
Ab Hazrat umar(ra ) ke zahen me ye baat aai ke sahaba isi tarha shaheed hote rahe to Quraan ki tarteeb (sequence) kho sakti hai . Eh baat Hazrat Umar ( ra) ne Hazrat abubakar ( ra) ko batai aur kaha ki aap ko Quraan ko kitabi (book shape) shakal me likhna hoga us waqt to Hazrat abubakar (ra)ne is se inkaar kardiya par doosre din jab Hazrat Umar ( ra) ne fajar ki namaaz ke baad Hazrat abubakar ( ra)ko samjhaya tab wo maan gae . Ab Hazrat abubakar (ra) aur hazarat umar (ra) zaed bin sabit naam ke ek sahabi ke paas gae aur un se kaha ke zaed tumhe Quraan ko tarteeb (sequence)me likhna hai tab zaed bin sabit ne inkaar kardiya kyu ki eh zimmedaari bahut badi thi Quraan par poori dunya ke musalman nirbhar hone wale the .
mae aap ko batata chalu ki zaed jab bhi huzoor(SAW) par koi ayat nazil hoti to zyadatar(adhiktam) wakt zaed un ke saath hi hote the isi leye un ko pura Quraan sequence ke saath 100% yaad tha is leye Quraan ko jama karne ke leye use ek book shape me jodne ke leye zaed bin sabit ko chuna gaya.
Ab Hazrat abubakar (ra)aur hazarat umar (ra) zaed ko mana lete hai aur eh aelan kiya jata hai ke Jin cheezon par Quraan ki ayat likhi hui hai wo saari cheezen jama ki jaae .
Quraan jama karne ka tareeka kuchh aesa tha ke Jin cheezon par ayaten likhi gai hai wo sab lai jae aur do log us ki gawahi de aur Ayaton ko zabani(maukhik) padh kar sunae tabhi wo ayat Quraan me likhi jayege .isi tarah se pure Quraan ko sequence me likha gaya . Ab Quraan Hazrat abubakar (ra) ko de deya gaya.
Hazrat abubakar ( ra)ke intekaal(dehaant) ke baad quraan Hazrat Umar ( ra)ke paas tha fir Hazrat Umar ( ra)ne intekaal se pahele eh vasiyat ki ke Quraan ko Hazrat hafza( ra) ko de diya jae jo Hazrat Umar (ra) ki beti thi aur hazarat muhammad (SAW) ke biwi the.
3) Ab hazrate Usman bin afaan( ra) ka daor aya uzaifa binyamaanjo ek sahabi hai
aur sarhadon ki hifazat kar rahe the unhone ne dekha ke do Quraan padh rahe the aur pahela fauji kaheta hai ke maene achha padha doosra kahete hai ke mae ne achha padha is wajah se un dono me jhagda ho jata hai Yahan tak ke dono apni apni talwaren Nikal lete hai uzaifa unhe samjhate hai aur sulaah kar lete hae .
Uzaifa usi wakt wahan se chhutti le kar nikalte hai aur hazarat usman (ra )ke paas pahuchte hai Aur unhe ye baat batate hai aur kahete hai ke agar aesa hi karte rahe to eh sab khoon kharaba macha dege is ke liye kuch na kuch karna chahiye.hazrat usman (ra) ne ek kameti banai jisme zaed bin sabit(ra) , Abdullah bin zubair (ra) ,saed bin alhaas (ra) Abdul Rahman bin harees(ra) in 4 sahaba saba ki ek kameti banai gai yaad rahe zaed bin sabit (ra) wohi hai jinhone Quraan ko kitab shakl me likha tha . Ab Hazrat abubakar ke paas jo Quraan tha use dekh kar 5 (kuch riwayaton me 6 copy's aati hai) tayyar ki gai. In copy's ko Makkah , shaam , misr ,iraak in shaheron me bheja gaya . In copy's ke saath un logo ko bheja gaya jo Quraan ko sahi padhna jaante the ۔
Jin shaheron me copy's bheji gae thi waha ke gawarners ko eh hukm diya gaya ke eh Quraan hai aur ise kaese padhna hai eh khaari tumhe padh kar sunaege aur aapko isi tarah se ise padhna hai.is tarah Quraan logo tak pahoncha۔mujhe ummeed hai ke aap ko ye is jaankari se kuch na kuch seekhne ko zaroor mila hoga۔
agar aapko is post ke leye kuchh kahena ho ya is post me kuchh sudhar karna ho to aap mujhe comment kar sakte hai۔