Facts in hindi
Doston swagat hai aapka mere blog sk knowledge me ham is blog par facts in Hindi aur knowledgeable posts upload karte rahete hai .
To chaliye shuru karte hai facts in hindi.
1) eh King fisher naam ka parinda hai jo shikar ke leye gota laga raha tha aur usi wakt Alan ne eh photo kheenchli
wow hae na interesting fact lekin eh itna aasan nahi tha 6 saal 4200ghante 7,20,000 photos khenchne ke baad Alan McFayden ko sahi timing par Sahi shot mila itni koshishon ke baad bhi unhone haar nahi maani .
2)
Doston eh anguthi bahut rare hai kiuki ise dinosaur ki haddi , Meteorite ( ulkapind) aur gold se banaya gaya hai.amazing
3) Eh ek dinosaur ka real aur bahot rare paer hai jo Megalapteryx naam ki prajati ka hai.
Eh foot ab tak mili hui dinosaurs ki nishanio me sab se achha namoona hai . Is ki twacha(chamdi) aur haddiyan itne saalon baad bhi joon ki ton hai .
4) doston kya aap jaante hai ke iceland dunya ka ek maatra aesa desh hai jahan mosquito,s(machhar) nahi pae jate .
halanki eh desh puri tarah se hara bhara hai yhan wo sabhi tarah ka nature hai jis me mosquito aasani se paeda ho sakte hai lekin phir bhi aapko yahan mosquito dekhne ko nahi milege.
5) doston kya ho agar sarakar aapko public transportation ki suvidha bilkul free me de
Dunya me ek aesa desh bhi hai jahan free public transportation ki suwidha sarkar deti hai jaha logo ko kahi aane jaane ke lye kiraya nahi dena padta us desh ka naam Luxembourg hai .
6) eh jo aap bicycle dekhrahe hai eh aaj ke modern zamane ki nahi hai eh aaj se lagbhag 75years purani tasweer hai jo 1946 me khenchi gai thi.
7) doston agar aap kisi tarah ke tension strees me hai to aapko ilaechi (cardamoms) khane se ya phir ise chai me daal kar peene se aapke dimag ke hormones puri tarah se badal jate hai aur aapko sukoon aur freshness mahesoos hota hai.
8) 2011 me ek berozgar north carolina weakti ne bank ko sirf ek doller ke liye loota taki jel jaaker use free medical health care mil sake .
9) doston aapne is tarah ke optical illusion bahot dekhe hoge aur inhe solved karne ki koshish bhi ki hogi aur is taraha ke illusion ko solve karna mushkil hota hain lekin agar aap ise apne mobile me dekh rahe hai to aap sirf apne Mobile ko tichha karke neche wale hisse se ek aankh band karke dekhe aapko is ke word's badi aasani se pata chal jaege .
10) doston kya aapko pata hai japan ke zyadatar school,s me chaukidaar ya safai karmchari nahi hote kiunki Japanese education system ka manna hai ke students ko hi school,s ki Safai karni chahiye isse unhe apne uper zimmedaari aur samaanta par consentrate hota .
Doston agar aapko eh hindi facts achhe lage ho to right side me deye gai bell icon ko press kare taki hamari hindi facts ki new Post ki update sab se pahele aap ko mile goodbye.